Apr 14, 2010

Khabar har kimmat par, Jaan ki Parwaah kise hai???


Ji haan! Ye kehna hai NDTV mein karyarat ek reporter ka. Main media mein hu aur logo ko sahi raah dikhana mera kartavya hai chahe isme meri jaan hi kyu na chali jaye yeh shabd kehte hue reporter ne ek lambi saans li. Kalam ki taakat ko hath mein pakar yeh reporter apni jaan jokhim mein daalkar khabar logon tak pahunchata hai. Apni jaan ki parwah na karte hue is reporter ne dholpur jile mein chippe kai khukhyaat dacaiton ke interviews liye hain. Apne bacche ke maathe par haath sehlaate hue kuch pal kisi soch mein dubne ke baad usne bataya ki pehle woh ek niji channel mein kaam karta tha. Us dauraan usne siyasat apne haath mein liye baithi ek mahila mukhyamantri ke khilaaf aawaz uthai thi. Reporter ka kehna tha ki mukhya mantri saahiba ke pass do chunaav pehchaan patra hain jo ki kaanunan taur par galat avam dandniya apradh hain. Ye khabar ek niji channel par 15 dino tak prasarit ki gai. Iske liye reporter ko kai puraskaar bhi mile parantu mukhya mantri saahiba ne siyaasi daav-pej phenk, chunaav aayog ke do karamchariyoon ko saza dilwa di aur khud siyasat ki bag-daur phirse sambhalne lagi.
  Maamla shaant hue kuch hi din hue the ki reporter ke bhai par jaan-leva hamla hue jisme woh buri tarah jakhmi ho gaya. 4 hamalawaron ne is ghatana ko anjaam dia tha. Unmain se 2 hamalawar pakde gaye. Puchtaach karne par unhone bataya ki woh reporter ko maarne ke liye bheje gaye the parantu galatfehmi ke chalte reporter ka bhai ho gaya. Un hamalawaron se gehan taur par puchtaach ke baad ye khulasa hua ki woh jaan-leva hamalawar mukhya mantri saahiba ke ghar mein karyarat the. Is baat se ye to saaf ho jata hai ki reporter ke bhai par hamla karne waale ye log kaun the aur inhe kisne bheja tha. Dheere- dheere siyasat badal gai aura b is siyasat par koi aur raj karta hai. Parantu yeh reporter aaj bhi apne bhai par hue hamle se aahat hai aur iska jimmedar khud ko manta hai. Aaj bhi ye reporter is haadse ko yaad karke ro padta hai, parantu apne kartavya  ko yaad rakhte hue lagaatar logon tak khabar pahuncha kar apna kartavya nibha raha hai.

No comments:

Post a Comment