Mar 7, 2010

Ab Waqt Kahan!!!


Ab waqt kahan ki sawar jaun, Ab waqt kahan ki badal jaun. Waqt saahil hai apni marzi ka, Aagosh mein meri simat jaaye, Woh saahil kahan se laun. Ab woh waqt kahan se laun. Ab waqt kahan kahin tabiyat se gaun, Ab waqt kahan kahin khamosh ho jaun. Ab to waqt kat raha nahi fizaaon mein, Waqt ko jo kaate woh waqt kahan se laun. Zehar ki dawa zehar! Mubarak!!! Ab dawa jo kaate waqt ko woh dawa kahan se laun. Waqt beet gaya bahut ki kya kashti banaun. Zar-zar haathon mein honslaa bhar jo kashti chalaye, Woh Malhaar kahan se laun. Ab ye woh waqt kahan se laun. Ilm na tha kab din dhala, kab raat kati Kamsin mein, Ab kate waqt ko yaad karu, Woh Ilm kahan se laun…..