Apr 25, 2010

For someone special,,,

Us waqt mein kuch shaam kahan, us waqt mein aaram kahan, teri deed ka intzaar ho

Or waqt tera deedar na de, us waqt men muskaan kahan. Tu sehar hai kuch chirag si jalti hai, tu mehak hai kuch aas si jalti hai, tere daaman mein agar bahaar na ho to mehfil mein koi khumaar kahan. Deed ho teri to maksad mukkamal ho, na ho teri aas to jannat-e-jahan kahan. Tu shauq hai kisi sayar ka or teri kami khayaalo mein ho to koi alfaaz kahan….  Aankho mein base meer tere or sirat mein base hai pyaar, hue khafa agar zara tum to koi manzil-e-nishan kahan. Ashq teri aankho mein ho to maalum hoga jaise jakhm meri aankhon mein hai. Jo ho tere kadmo-nishaan to mubarak ho har sama.  Or ho na agar teri aahat mein nasha to who jash-e-jaam kahan. Maine jia har lamha tujhe mein or kami teri saanson mein ho koi andaaz-e-mukaam kahan. Kami to jaahir hai har pal teri jehan mein thi, ho justju na teri iraadon mein to har waqt ka malhaa kahan.



The next couplet dedicated to you!!!

Yaad ne reham kab khaya mujhpar, Jab tere deed ki aarzu hui tera deedar hua. Teri surat to sirf ibteda thi ki, Hum tamaam hue, Teri sirat ke rang pade mujhpar ki meri kalam teri gulaam hui. Kaha tumne ki ye itfaaq-e-nazam thi teri nazar mein, Itfaaqon ki bhari na jaane kitni shaam hui. Emaan kabhi kahan jhuka tha mera, Teri nazar padi or mera qatl-e-emaan hua.


Waqt sama raha hai saanso mein or dariya mein sailaab hai, Jarurat ab khuda ko teri hai. Jahan roshan ho, Ho umeed-e-insaaniyat jawaan, Tu khol aankhen is jahaan ko teri jarurat hai. Surkh zameen, ye lab surkh hain, Zara garaj to sahi ki is pyaase aasman ko teri jarurat hai. Jehan mein ab viraan-e-aalam hai, Tu jhalak ban de kuch to aas, Is jehan ko tere khyaal ki jarurat hai. Tabaah se hain ye shair-musayere, Is Bazm tere sayar-e-andaaz ki jarurat hai.

Waar karne ko kab chah-e-ilteja hui, Ye to khayaalo ka khel or nazaron ka nishaana tha ki zaalim Main hi Ek tha Mara Pada…

These couplets are dedicated to you on your birthday!!!!!

Regards,

Raj miheet rathore

No comments:

Post a Comment