Oct 18, 2009

AAZAD HO GAYE HUM
Hum aazad ho gaye gair maz-habiyon ki hukumat se, par vicharon mein abhi unki sarparsti kyu hai. Aazad ho gayi zameen hamari magar ab paani kishto mein kyu behne laga hai. Ho gaye aazad ye khet hmare magar lahu ab fasal sinchne laga hai. Aazad to mere jehan main vatan ko karwaya tha, na jaane aazadi khud kahan tut gai ki ab vatan bat gaye hain. Sohaard or pyar ki taalim lete lete na jaane kab ye dharm bat gaye hain. Sunte hain aaj bhi ki bharat maa hai, gaur karke aankhen jamayi to dekha ki yahan to ab bachhe bat gaye hain. Kuch bacha hai to woh zameen ke do tukde hain, bharatwasi to kuch Hindustani aur kuch Pakistani mein tabdil ho gaye hain. Insaaniyat ab koso dur hain humse mehaj chand munaafe ki chaah mein na jaane kitne gale kat gaye hain.
Kahin kho gai hai woh maa ki loriya woh pukar, dard ab bachpan ka kilkaariyo mein dikh raha hai, hairaani nahi hai isme ki hum zinda hain, afsos hai ki jee kyu nahi rehe hum, maut ab kheraat ki tarah batne lagi hai, neend kahan aankho mein ab sayad bistar bhi kafan ban rhain hain.
Maksad samjhana munasif hoga ab, kyu mandir suna or masjid viraan hai, darkhwaast bas yahi hai in hukumat ke badshahon se ab band karo sampradayikta ke naam par khun bahana, zindagi tohfa hai maasum si muskurahat sa, is baat se ne mera bhagwan bekhabar hai na tera khuda anjaan hai.