Apr 17, 2010

Aatmhatya ka Mano-vigyaan!!!!!


Aatamhatya wastav mein hamare viksit samaaj par gehra tamacha hai. Aadhunik aur sabhya hone ka bhram aur dambh paale hum logo andhadhun aur betarteeb vikaas ke side effects ke roop mein kai prakar ke tanav, kuntha, avsaadon ko jhelte hain aur inhi ki parakashta ke roop mein aatamhatya jaisi pravarti hamare maanas mein pravisht ho jati hai. Aatamhatya ki yeh pravarti ab sheheron tak simit nahi reh gai hai. Ab hamare gaon bhi shahar ki is niyamat se nahi bache hain. Is sambandh mein kiye gaye ek research  mein iski bhyavahta ko aurr adhik spasth karte hain. Rajasthan ke 9 jilon mein krashi  mein hone wali durghatnao ke sandarbh mein kiye gaye sarvekshan se chaukaane wale aankde saamne aaye. Isse gyaat hota hai ki lagbhag 50 percent maamlon mein mahilaon dwara kisi kism ka keetnashak khakar aatmhatyaan ki gai hai. Isme sarwarhik prabhavit warg 25-35 varsh ki umr ka tha artharth yuva grameen mahilaon mein kahin na kahin kuch gambhir samasya jarur hai. Thoope gaye tanaav ke tehat kai baar to samaaj mein rehte hue lagta hai ki hum kisi bhi tarah sehaj nahi reh pa rahain hain. Ya phir aisa lagta hai ki tamaam such-suvidhaaen ke chalte hamare pas kisi cheez ki kami hai. Dosh hamara hi hai. Humne hi aise aadhuniktaaon ko gale lagaya hai jo suvidhaon ke samaantar jehar bhi ugalti hai. Harit-kranti aur iske baad krashi kshetra mein hue badlaaw ne hamain khaadhaan aadi mein ti kuch had tak aatam vibhor kar dia lekin dusri taraf hamare andar ek alag hi tarah ki bhotikta ki bhookh badha di. Chakachondh ne hamare chaaron taraf ek aisa kaalpnik saamrajya rach diya hai jiske bahar nikalna hamare bas mein nahi hai. Vikaas ki galat paribhashaon ke parinaam aaj hum bhogne ko vivash hain. Aur graamin mahilaon ki aatmahatyaaen inmain se ek hai. Aatmahatyaaon ki badhti sankhya in dino hamare samaaj mein aatmahatya saari samasyaaon ke saral avam sehaj upaay ke roop mein viksit ho gaya hai. Ek anay research ke anusaar shahari kasbo mein aatmahatyaaon ki pravarti mein betahasha vradhi hua hai aur iske peeche hatasha, kuntha,jeevan estar , uch-mehtavakanshaayen aadi pramukh hain. Kul milakar dekha jaye to shahri avam gaon dono mein hi apne apne kaarano se aatmahatyaaon ki sankhya nirantar ve khatarnaak dhang se badhi hai. Ek shanik aavesh ke tehat hamara saara gyaan, dhyaan, vikaas, prati-vishwaas, achaai, buraai, hoshiye par reh jati hain. Nasamjh yuva se lekar tej se tej dimag wale log bhi is vidambanapurn kaarya ko karne se nahi hichakte. Panchayati raj ke zariye jahan vikendrit sarkaar nichale star par graaminon ke hath pahunchi hai to wahan ab status ka khel shuru ho gaya hai. Paariwaarik prathistha se lekar vyaktigat pratishtha ya phir dhan daulat ke liye maara-maari ke kaaran bhi aatamhatyaaon ke liye jimmedar hain. Mahilaaen vishesh roop se isliye prabhavit hai kyuki unhain ghar ke sath sath kheti ki dohri jimmedari nibhani padti hai. Aise tanaav ka asar us mahila par pada hai jo ki taalab mein kudkar jaan dene ki sochti rehti thi isme woh mahila uthli jagah se girkar aur sir takraane ki wajah se apni yaad-dasth kho chuki hai. Aaj woh apne aap par bhojh ban gai hai. Ye hai aatamhatyaaon ka mano-vigyaan!!!

No comments:

Post a Comment