Jan 24, 2010

Nazam...

Mehfuz teri nigaahon mein tha main,
chalak aansu nay teray palbhar mein mujhe beghar kar diya
abh dhoond raha hoon panah kahin teray aashiyane mein,
silwatein jo pad gai hai abh aaanchal mein teray!!
dararein si pad gai hai teray surkh nazuk labon pe!
aa zara marammat kardon, teri is bikhri muskurahat ki!!
berukhi teray chehray ki yun khalish si kasakti hai
koshish kar raha tha masroofiyat mein girhay rehnay ki
par yaad teri mehfilon mein abh fanoos ban kar peecha karti hai

mussasam liya tha tumne,
kho khaber mein aksar khoyi rahogi!!
vada teratod diya tune,
shayadmussasam ki us gadi mein aansu salamat tha teri nighon mein kahin
kabhi dekha tha tujhe khushiyaan lootatay hue ,
aaj tera chehra bhi deedar ka mehnatana mangta hai

muskurahat teray chehray se ghum ho jaye
ye itifaq hua karta tha magar abh itifaq tumhari zindagi mein aksar hua kartay hain

1 comment:

  1. jo log aankhon se aansu ban kr nikal jate hai....wahi chand log hote hai jo dilon me ghar kr jate hai...
    itni to siddat rahi hogi us shaks ke dil me teri khatir....jo samet nahi paya khud me tujhko...or aankhon se bhaya tujhko...

    ReplyDelete