Jan 24, 2010

Amity Anthem

Jahan Dosti hai, pyaar hai, Jahan apna sa ehsaas hai... Jahan shakti hai, vishwas hai, Jahan jeetne ki aas hai… Jahan banti sapno se umeedein,or se kamyabi………… Woh hai amity, ha amity…..
Tu aa yahan, Tu sapne saja, Tu jeet ja…. Kar woh jo teri khwaish hai, Tu hoga us aasman main, jahan kamyabi ki baarish hai. Tu hai us Jahan main jahan khwaishon ki ahmiyat hai…
Tu kar ja kuch, Tu ban ja kuch, Tu bana isse jaisa Tu chahe, Tere armaan hi iski shaan hai, abhimaan hai… Ye hai Amity, Ha Amity… Har sawal ka jawaab yahaan, Hai har manzil ka mukaam yahan, Tu aa yahan, Tu jeet ja, Tu jeet ja yahan…
Khabar na thi mujhe, Khabar na hai tujhe, Khabar na thi hamein kya hasti hai hamari… Raah dikhayi hamein, Aag jalaai hum main, Haath thamkar hamara hasti banayi jisne, Woh hai Amity, Ha Amity..
Hum the akele, Na tha koi paas, Hum chale the is vishwas par, Hum jeetenge dunia, Hum badalenge dunia…. Musafir the hum akele , hum main jeetne ki aas jagaai, Ye hai Amity, Ha Amity. Tu aa yahan, Tu jeet ja, Tu jeet ja yahan, Ye hai Amity, Ha Amity…..

No comments:

Post a Comment