Sep 9, 2010

GUJARISH


Tu kyu chup hai, Kyu khamosh hai Teri nigaah, Tu waqt aaye to batana.  Tu kyu gumsum hai, Kyu lagti hai Khafa si, Kabhi waqt aaye to batana. Gum hai kahin khayaalo mein tu, kabhi jehan mein koi baat aaye to batana. Chupa baithi ho dard-e-jahan saaye mein,  saaya dhalne ki koi sham aaye to batana. Shararat hua karti thi teri hansi mein kabhi, hansi phir teri panaah mein aaye to batana. Haal ka sune Dard-o-Gum ka, jubaan par koi larajti baat aaye to batana. Hasin hai tu,tera gum bhi hasin, Kabhi chehre par phir ruaaab aaye to batana. Khawaab durust hua karte they aashiyaan mein teray, khwaabon se bhari phir koi raat aaye to batana. Bazm aabaad thi teray dastak-e-mehfil se, viraan kisi bazm ko teri yaad aaye to batana. Naamon mein kabhi mera naam aaye to batana, tujhe phir meri yaad aaye to batana.....

1 comment:

  1. grt.....tu tau abhi bhi waisa he likhta hai.....aaye haye....jannat...

    ReplyDelete