Dec 12, 2009
Dec 6, 2009
Nov 2, 2009
IQRAAR
Iqraar
Iqraar naama mukhtsir kar raha hun apna, andaaz zara sar-ser hai mera. Gaur farmana befizul hai, har baat jaruri hone ki janiye to ziyarat kahan jayaz hai. Itlaah kar dijiye unko ki, hasi shaam mein chasm unke kuch gila kar rahain the. Kher hoti agar samjh jaate hum unke ishaaron ko,who sehmi si muskurahat sayad jayaz waqt ki muheem kar rahi thi humse. Magar waqt kahan tha itna ki tammanaon ko rok de yun machalne se, kashti jo beh gai thi inki humein sath liye. Soch rahe the ki gunaah kar dia is kashti ne hamari, or khyaal us waqt munasib aaya ki ye to dariya ki ulat-pher thi. Mukhatib hue hum apne-aap se is hasi gunaah ke baad magar sunwaai ko samjhane wala wahan mujhmain sirf Main hi tha. Sihar gaye hum ye soch ki kya jawab hoga unka, neend faaqta hui kuch aise ki ek sehar ke intzaar mein na jaane kitni raatein gujar gai. Bebas hain ki woh kab rubru honge khudse, saaya dekh khud ka sayad hum yaad aa jae unko.
Oct 18, 2009
AAZAD HO GAYE HUM
Hum aazad ho gaye gair maz-habiyon ki hukumat se, par vicharon mein abhi unki sarparsti kyu hai. Aazad ho gayi zameen hamari magar ab paani kishto mein kyu behne laga hai. Ho gaye aazad ye khet hmare magar lahu ab fasal sinchne laga hai. Aazad to mere jehan main vatan ko karwaya tha, na jaane aazadi khud kahan tut gai ki ab vatan bat gaye hain. Sohaard or pyar ki taalim lete lete na jaane kab ye dharm bat gaye hain. Sunte hain aaj bhi ki bharat maa hai, gaur karke aankhen jamayi to dekha ki yahan to ab bachhe bat gaye hain. Kuch bacha hai to woh zameen ke do tukde hain, bharatwasi to kuch Hindustani aur kuch Pakistani mein tabdil ho gaye hain. Insaaniyat ab koso dur hain humse mehaj chand munaafe ki chaah mein na jaane kitne gale kat gaye hain.
Kahin kho gai hai woh maa ki loriya woh pukar, dard ab bachpan ka kilkaariyo mein dikh raha hai, hairaani nahi hai isme ki hum zinda hain, afsos hai ki jee kyu nahi rehe hum, maut ab kheraat ki tarah batne lagi hai, neend kahan aankho mein ab sayad bistar bhi kafan ban rhain hain.
Maksad samjhana munasif hoga ab, kyu mandir suna or masjid viraan hai, darkhwaast bas yahi hai in hukumat ke badshahon se ab band karo sampradayikta ke naam par khun bahana, zindagi tohfa hai maasum si muskurahat sa, is baat se ne mera bhagwan bekhabar hai na tera khuda anjaan hai.

Aug 28, 2009
SHIKAYAT
Tutkar bikhar gaya hu aise, khwaab koi tut jata ho jaise kisi angdaai se.Umeed kuch kam hai ab sanwar paunga kabhi, Thukra jo tune baarish mein bheega tinka samjhkar. Chahat abhi baaki hai jeene ki mujhmain. Par fark aa gaya hai jeene ki raah mein, pehle saanso ke bharose tha or ab hawaon ke bharose hu. Na jaane kaunsa jhonka, sukhi meri saanso mein kuch aag laga jaaye. Khafa hone ki koshish to ki thi tuhjse magar, itfaaq mohbat ka kaisa hai ye, aate jaate saaya tera mujhpar se hokar gujar jata hai. Khamosh hu main kisi suni mazaar ki tarah par aahat teri meri khamoshi ko shayari bana deti hai. Fursat dekh kitni hai hai jehan mein mere, yaado ko teri ab aashiyaan bana raha hu main. Kehar ishq ka barsa to jarur mujhpar magar jod jodkar bikhri meri rooh ki daraaron mein saanse juta raha hu main. Muskurae hue ek arsa hua mujhe, beete lamhon ko samte hue hansi ka ek lamha bana raha hu main. Maut mukarar hi thi mujhe, ki ab wafaat mein tu sharik kyu na ho, ye sawal uthaye ja raha hu main...
May 24, 2009
'ek din...' Journalist ka!!
Ye kavita ek journalist ki kahani hai jismein uske jeevan ki kuch uljhano ko smjhaya gaya hai ki kaise ek journalist dunia ko naa jante hue uski pehchan logo se karwata hai. Kai baato ko jehan main bithaaye hue woh kaise lagataar apna kaam karta hai. Har raat sirf ek paheli se junjta hua woh subah apne kaam par nikalta hai or phirse agli raat unhi paheliyon main phir se ulajh jata hai... Is kavita main journalist ki Mehnat or Dharm ko paardarshita se smjhate hue unke beech ke fark ko smjhaya gaya hai...........
Le Khwab So Gaya Main, Agli Subah Ke Intzaar Mein. Kuch Bechaini Ko Sath Liye Or Kuch Bechaini Ko Mitane Ki Aas Liye… Meri Bechainiyan Sayad Mujhse Rubru Thi, Shikayat Na Thi Unhain Maine Aaj Kya Kiya…. Lipti Hui Thi Woh Bhi Mujhse Mere Kal Ka Intzaar Liye….. Kuch To Ranjish Thi Hum Main, Sayad Kisi Saajish Ko Lekar Baat Thi. Le Khada Hua Mein…Chod Saajish Ko Agli Sunwaai Par… Bechaini Sayad Ab Sayad Ab Iraada Bankar Mere Sath Thi……. Lo Chal Pada Ab Main…Kurta Or Kalam Mera Hathiyar Thi, Sawalo Ki Pehli Mein Uljha-Uljha Sa Tha Main… Na Sawal Mere The, Na Uljhan Meri Thi………. Phir Kyu Un Sawaalon Ko Suljhane Ki Fursat Meri Zindagi Mein Thi????? Pucha Jo Sawal Kalam Se Maine, Kya Kashm-E-Kash Thi Ye??????Keh Dia Kalam Ne Bhi Hanskar Mujhse… Main bhi to hu sath tere,chal padu wahan tu le chale jahan… Hoti hu nishabd bejaan si kisi kaagaz par, mohtaaz to main bhi hu kisi ke alfaaz ki… Tu Raahi Hai Us Raah Ka Jispar Tu Kabhi Chala Nhi, Tujhe Dena Hai Dunia Ko Woh Jo Milkar Bhi Tujhe Mila Nahi…
Subscribe to:
Posts (Atom)