Aug 28, 2009

SHIKAYAT
Tutkar bikhar gaya hu aise, khwaab koi tut jata ho jaise kisi angdaai se.Umeed kuch kam hai ab sanwar paunga kabhi, Thukra jo tune baarish mein bheega tinka samjhkar. Chahat abhi baaki hai jeene ki mujhmain. Par fark aa gaya hai jeene ki raah mein, pehle saanso ke bharose tha or ab hawaon ke bharose hu. Na jaane kaunsa jhonka, sukhi meri saanso mein kuch aag laga jaaye. Khafa hone ki koshish to ki thi tuhjse magar, itfaaq mohbat ka kaisa hai ye, aate jaate saaya tera mujhpar se hokar gujar jata hai. Khamosh hu main kisi suni mazaar ki tarah par aahat teri meri khamoshi ko shayari bana deti hai. Fursat dekh kitni hai hai jehan mein mere, yaado ko teri ab aashiyaan bana raha hu main. Kehar ishq ka barsa to jarur mujhpar magar jod jodkar bikhri meri rooh ki daraaron mein saanse juta raha hu main. Muskurae hue ek arsa hua mujhe, beete lamhon ko samte hue hansi ka ek lamha bana raha hu main. Maut mukarar hi thi mujhe, ki ab wafaat mein tu sharik kyu na ho, ye sawal uthaye ja raha hu main...

No comments:

Post a Comment