Iqraar
Iqraar naama mukhtsir kar raha hun apna, andaaz zara sar-ser hai mera. Gaur farmana befizul hai, har baat jaruri hone ki janiye to ziyarat kahan jayaz hai. Itlaah kar dijiye unko ki, hasi shaam mein chasm unke kuch gila kar rahain the. Kher hoti agar samjh jaate hum unke ishaaron ko,who sehmi si muskurahat sayad jayaz waqt ki muheem kar rahi thi humse. Magar waqt kahan tha itna ki tammanaon ko rok de yun machalne se, kashti jo beh gai thi inki humein sath liye. Soch rahe the ki gunaah kar dia is kashti ne hamari, or khyaal us waqt munasib aaya ki ye to dariya ki ulat-pher thi. Mukhatib hue hum apne-aap se is hasi gunaah ke baad magar sunwaai ko samjhane wala wahan mujhmain sirf Main hi tha. Sihar gaye hum ye soch ki kya jawab hoga unka, neend faaqta hui kuch aise ki ek sehar ke intzaar mein na jaane kitni raatein gujar gai. Bebas hain ki woh kab rubru honge khudse, saaya dekh khud ka sayad hum yaad aa jae unko.
No comments:
Post a Comment